Wednesday 27 July 2011

[Pak Youth] GOOD MORNING FROM RAJA KHAN

* aitemad ek rooh ki tarha hota hai. ek dafa chala jai tou phir waapis nahi aata

*Jis darwazay sey shakk andar aata hai mohabbat aur aitemad uss darwazay sey bahir nikal jata hai.


*aitemad mohabbat ki pahli seerhi hai.


*tumhain uss din par aansoo bahana chahiyah jo naiki kay bagair guzra.


*koi sheesha insaan ki itni haqeeqi tasveer paish nahi karsakta jitni uski baat cheet.


*kisi ka dil na dukhao kyun kah aansoo tumharay liyah sazaa ban jain gay.


*ziyadah hansnay sey dil murda hota hai.


*mout ek baykhabar saathi hai.


*jo shaks tumharay saamnay karvi baat kah day wohi sab sey acha dost hai.


*haasid dushman par patthar phainkta hai, magar woh waapis usi ko lagta hai aur dushman hansta hai.


*yeh zaroori nahi jo koi khubsurat ho , naik seerat bhi ho, kaam ki cheez andar hoti hai bahir nahi.


*jahilon ka tareeqal yeh hai jab un ki koi daleel muqabil kay aagay nahi chal sakti tou jhagra shuroo kardetay hain.


*taalib ilm sey sharam munasib nahi kyun kah jahalat sharam sey badtar hai.


*Jis ko parents adab karna nahi seekhatay usko zamana adab seekhata hai.


*jisay salamti ki zaroorat ho usay khaamoshii ikhtiaar karni chahiyah.


*teen cheezon ko paak rakho, jism, libaas, khayal.


--
image.png----------

--
-
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.

No comments:

Post a Comment