Saturday 27 August 2011

[Pak Youth] Jub Log Hi Jazbon Ki Toqeer Nahi Karte..


Jub Log Hi Jazbon Ki Toqeer Nahi Karte..

Hum Koi B Dukh Apna Tehreer Nahi Karte..


Lehje Ka Ye Rookha-Pan Dil Tor K Rakhta Hy..*

Karti Hai Zubaan Wo Kuch Jo Teer Nahi Karte..

Likhte Hain Wohi Kuch Jo Is Dil Pe Guzarti Hy..

Pariyon Ki Kahani Hum Tehreer Nahi Karte..

Pachtawa Agar Ho To Be'Fikr Chalay Aana..*

Hum Raat Ko Darwaza Zanjeer Nahi Karte..*

Do Gaz Hi Zameen Sab Ka Jab Akhri Makan Ho..*

Hum Koi Makan Apna Ta'ameer Nahi Karte...





--
Sikandar Khush Nahin Loot Kar Daulat Zamaane Ki

Qalandar Dono Haathon Se Luta Kar Raqs Karta Hai  

سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: "اس (پاک ذات) کی قسم! جس کے ہاتھ میں میری جان ہے کہ تم میں سے کوئی مومن نہیں ہو سکتا جب تک کہ میں اس کے نزدیک اس کے باپ اور اس کی اولاد سے زیادہ محبوب نہ ہو جاؤں۔

Allah Pak Farmatay Hain....

Aye ibne Adam

Ik Teri Chahat Hai Or Ik Meri Chahat Hai

Hoga To Wohi Jo Meri Chahat Hai

Haan Ager Tune Superd (hawale) Kardia Khood Ko

Uske Jo Meri Chahat hai

To Main Tujhe Woh Bhi Donga Jo Teri Chahat Hai...

 

Or Ager Tune Mukhalfat Ki Uski Jo Meri Chahat Hai

Tu Main Thaka Dunga Tujhe Us Main Jo Teri Chahat Hai

Phir Hoga Wohi Jo Meri Chahat Hai.....




--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.

No comments:

Post a Comment