Wednesday 10 August 2011

[Pak Youth] Ussay Bhool ja

kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main 
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..


kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja.....

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..

yeh jo din raat ka hai khial sa,ussay daikh ,us pay yakeen na kar
nahin aks koi bhee mustakil,sar-e-ainaussay bhool ja...

jo bisat-e-jaan he ulat gaya,woh jo rastay say he palat gaya
ussay roknay say hasool kiya,usay mat nila, ussay bhool ja ussay bhool ja

--





MAYUS WO HOTA HY Jo "ALLAH" Pe "Yaqeen" Nhin Rkhta. Aur MEHROOM WO HOTA HY Jo "ALLAH" Ki Di Hui Be Shumar Neimaton Ka Shukar Ada Nhin Krta.


join this group 

--
-
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.

No comments:

Post a Comment