Wednesday 14 September 2011

[Pak Youth] Meri apniii Poetry

Ujrday hoay logon se gurezan na hoa ker
Khalat ki qabron k yeh katbay bhi perha ker

Kiya janiay kiyon taiz hawa soch mein gum hai?
Khwabeeda pridon ko derkhton se urda ker

Oss shuks k tum se bhi marasam hai tu hunge
Who jhot na bolay ga mere samnay aa ker

Who aaj bhi sadiyon ki masafat pe khara hai
Dhonda tha jisay waqat ki deewar gira ker

Ay dil tujhay dushman ki bhi pehchan kahan hai
Tu halqa e yaran mein bhi muhtaat reha ker

Pehla sa kahan ab meri rafter ka aalim
Ay gerdesh doraan zara thum thum k chala ker

Main mar bhi chukka, mil bhi chukka mouj e hawa mein
Ab rait k seenay pe mera naam likha ker

--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.

No comments:

Post a Comment