Sunday 22 January 2012

Re: ::::|| VU ||:::: `` Tonight Poetry``


Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-Mehrmana
Qareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana

Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe Hain
Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana

Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri
Kisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko Ibrat Ka Taziyana

Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera
Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Mai'ay Shabana

Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin Hai
Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana

Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai!
Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana

Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko
Ussi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss Ka Ashiyana

Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke
Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana

Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha Hai
Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana

Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha Hai
Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana
 

                            ALLAMA IQBAL

On Sun, Jan 22, 2012 at 7:35 PM, CoooL <asad.coool786@gmail.com> wrote:


Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain

Chaar soo andhairay hain un ginnat jhamailay hain

Kishtiyan hain kaaghaz ki barishon ka mousam hay
Aandhiyon k jhhakad main paaniyon k railay hain

Dard ka sumdar hay mohabaton ke baazi main
Ghamo ke rawani main dard kitnay jhailay hain

Tum bina adhori hay zindagi dau pal ke hay
Ansoowon k darya main kis qader akailay hain

Na tammam ruston main doshmanno k pehray hain
Baywafa zamanay nay khail kaisay khailay hain

Kis ko maan lain apna kis say doshmanni rakhain
Iss baibasi main ghum baishumaar jhailay hain

Baat ik lumhay ke hay waqat kab maeyeser hay
Khawhishein hazaron hain haath meray phailay hain

Aa k tum he rakh jaao dil pay haath shaukat k
Dooor reh k batoon say dil kis k behlay hain
 


--

     

Phr Yaad-e-Khuda Se Ghafil Iss Duniya Ki Hawass Mein

Iss Mukhtasir Si Zindgi Ka Ik Aor Din Beet Gaya...!!!

                <<<<<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>>>>>


--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.vuscool.com
 
Facebook Group link
http://www.facebook.com/groups/vuCoooL
 
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com



--

     

Phr Yaad-e-Khuda Se Ghafil Iss Duniya Ki Hawass Mein

Iss Mukhtasir Si Zindgi Ka Ik Aor Din Beet Gaya...!!!

                <<<<<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>>>>>


--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.vuscool.com
 
Facebook Group link
http://www.facebook.com/groups/vuCoooL
 
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com

No comments:

Post a Comment