Friday 4 January 2013

Re: ::::|| VU ||:::: Namaz Main Rafa'Yadan Karna Mana hay - Akaid Ahl'Sunnat

Assalam o Alaikum wr wb
Bahi Aap S.A.W.W ne Fafa Yadain se Namaz pari thi.
Bukhari ma Hadees hai Rafa Yadain ki ky pari hai Aap S.A.W.W ne Rafa Yadain se Namaz lakin Sari Zindagi party rahe the iss taran.. iss ma Kahmoshi hai ky Hadees Pahle Zamane ki hai 
Bad ma Aap ne Rafa Yadain karni chor di thi...
Aur bahi jis Rafa Yadain ma Allah ka Zikar shamil hai os ko Sharee rafa Yadain kehte han Jaisa ky Pahli takbeer ma hath utate han aur Witter ma 3sri rakat ma Aur Eid ki Rakaton ma Hath utatate han to Sath Allah o Akbar bi kehte han iss ka koi inkar nahi karta q k iss Ky mutalik koi mana ki hadees nahi milti kisi kitab ma bi
aur Baki jo Bagair Allah ky Zikar ky sath ky Adatien hath utate han rafa yadain ky liye iss ki mana ki ahadees majood han 
Qisa Mukhatsir yeh hai ky Imam Shafi Imam Abu Hanifa ki Masjid ma gy aur rafa yadain nahi kiya Logon ne kaha Aap ne Rafa Yadin koun nahi ki 
Imam Shafi ne Farmaya ky iss saber wale ky Ahtaram ma nahi kiya ky Imam Abu kehte han ky Rafa Yadain karna Afzal nahi Chorna Afzal hai...
Aur Imam Bukhari Imam Shafi ky Muqalid han iss liye onho ne rafa yadain ki hadees naqal ki hai
Nisayi,,,Abu Dawood,,,Mishqat,,,,
in Siya Sitta ki kutab utayen aur dakhen aap ko Baab Rafa Yadain ky baad Tark-e-Rafa yadain bi mile ga
matlab ky Pahle karte the bad ma karna chor di Srif Pahli Takbeer ma Hath utate the Aap S.A.W.W phir Salam phairne tak kisi jaga Hath nahi Utaya,,,,
Allah hame Haq baat samjne aur Sunnat ky mutabik Namaz perne wala banye
Aameen

--
--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.vuscool.com
 
Facebook Group link
http://www.facebook.com/groups/vuCoooL
 
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com
 
home page
http://groups.google.com/group/coool_vu_students?hl=en
 
 
 

No comments:

Post a Comment