Tuesday 8 November 2011

[Pak Youth] ............poetry corner........

Tumhen aisa kyun lagta hai k hum 

khud dhoondty hain apny rishton ko
 

Suno jana! kabhi aisa nahi hota 

Tumhary aur mere chahny se kuch nahi hota 

Kay sab rishty,sabhi bandhan kahin pehlay se rakhay hain 

Wo saaray aanay walay pal jo aakhir beet jatay hain 

Jo hum se jeet jatay hain 

Wo sab pehlay se rakhay hain 

Samjh kar soch kar rakhay hain saray pal, 
sabhi rishtay,sabhi mosam 

Mohabbat bhi to lamha hai, 
mohabbat bhi to mosam hai 

Yeh kis k dil pay utray ga? 

Kahan par kab khiley ga, konsi galiyon main mehkay ga? 

Najanay konsa dil es k rangon main fana hoga? 

Najanay konsa dil is lamhay ko patay he
ghani tareekh galiyon ki musafat se raha hoga? 

Wazahat hum nahi karty, 

Mohabbat hum nahi krty, 

K yeh to jadugarni hai jo humko dhoond leti hai, 

Humain pehchan leti hai, 

Kisi masroof kamray main pari beekaar chezon se yeh humko chaan leti hai, 

Kabhi jab zakhm khalta hai, 

Bason or daftaron ki bheer main bhi yeh hamaray sath chalti hai, 

Lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai, 

Hina ki khusbuon main jab utari hai hamari jaan leti hai, 

Yeh hum main bandh deti hai naye mosam,
naye soraj, naye tare or khusbo, 

Yeh hum ko sonp deti hai koi aizaaz 
jiska maan rakhna farz hota hai, 

Yeh hum par bojh banti hai, 

Yeh hum par qarz hota hai, 

Kahan, kis par nichawar jaan krni hai, 

Yeh chahat hum nahi kartay, 

Suno jana! mohabbat hum nahi krtay….
 

--
TERI Rahmaton pe hay munhasir mery har amal ki qaboleet
  na mujy saleeqa-e-iltaja na mujy  shaoor-e-namaz hy

graphic art

--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.

No comments:

Post a Comment