Tuesday 8 November 2011

Re: [Pak Youth] ............poetry corner........

Wah Kaki wah cha gae.....

On Tuesday, November 8, 2011, star angel <star.angel720@gmail.com> wrote:
> Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo 
> Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo 
>
> Tum ne bhe suni ho gi barri aam kahawat 
> Anjaam ka ho khatra aaghaz badal dalo 
>
> Pur soz dilon ko jo muskaan na de paye 
> Sur hi na mile jis main wo saz badal dalo 
>
> Dushman ke iradon ko hay zahir agar karna 
> Tm khel wohi khelo andaz badal dalo 
>
> Ay dost karo himat kuch door sawera hy 
> Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.
> On Tue, Nov 8, 2011 at 3:03 PM, star angel <star.angel720@gmail.com> wrote:
>>
>> Tumhen aisa kyun lagta hai k hum 
>> khud dhoondty hain apny rishton ko
>>  
>>
>> Suno jana! kabhi aisa nahi hota 
>>
>> Tumhary aur mere chahny se kuch nahi hota 
>>
>> Kay sab rishty,sabhi bandhan kahin pehlay se rakhay hain 
>>
>> Wo saaray aanay walay pal jo aakhir beet jatay hain 
>>
>> Jo hum se jeet jatay hain 
>>
>> Wo sab pehlay se rakhay hain 
>>
>> Samjh kar soch kar rakhay hain saray pal, 
>> sabhi rishtay,sabhi mosam 
>>
>> Mohabbat bhi to lamha hai, 
>> mohabbat bhi to mosam hai 
>>
>> Yeh kis k dil pay utray ga? 
>>
>> Kahan par kab khiley ga, konsi galiyon main mehkay ga? 
>>
>> Najanay konsa dil es k rangon main fana hoga? 
>>
>> Najanay konsa dil is lamhay ko patay he
>> ghani tareekh galiyon ki musafat se raha hoga? 
>>
>> Wazahat hum nahi karty, 
>>
>> Mohabbat hum nahi krty, 
>>
>> K yeh to jadugarni hai jo humko dhoond leti hai, 
>>
>> Humain pehchan leti hai, 
>>
>> Kisi masroof kamray main pari beekaar chezon se yeh humko chaan leti hai, 
>>
>> Kabhi jab zakhm khalta hai, 
>>
>> Bason or daftaron ki bheer main bhi yeh hamaray sath chalti hai, 
>>
>> Lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai, 
>>
>> Hina ki khusbuon main jab utari hai hamari jaan leti hai, 
>>
>> Yeh hum main bandh deti hai naye mosam,
>> naye soraj, naye tare or khusbo, 
>>
>> Yeh hum ko sonp deti hai koi aizaaz 
>> jiska maan rakhna farz hota hai, 
>>
>> Yeh hum par bojh banti hai, 
>>
>> Yeh hum par qarz hota hai, 
>>
>> Kahan, kis par nichawar jaan krni hai, 
>>
>> Yeh chahat hum nahi kartay, 
>>
>> Suno jana! mohabbat hum nahi krtay…. 
>> --
>> TERI Rahmaton pe hay munhasir mery har amal ki qaboleet
>>   na mujy saleeqa-e-iltaja na mujy  shaoor-e-namaz hy
>>
>
>
>
> --
> TERI Rahmaton pe hay munhasir mery har amal ki qaboleet
>   na mujy saleeqa-e-iltaja na mujy  shaoor-e-namaz hy
>
> --
> You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
> To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
> To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
> For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.
>

--


Tere wajood se hai gulistan ki ronkain sari, 'MAA'
K Tere bgair is duniya ko hm Veeran likhty hain

--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Pak Youth" group.
To post to this group, send email to pak-youth@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to pak-youth+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/pak-youth?hl=en.

No comments:

Post a Comment