Tuesday 3 July 2012

::::|| VU ||:::: Zamee'n pay chal na saka

Zamee'n pay chal na saka, asmaan se bhi gaya,
katta k parr wo parinda uraan se bhi gaya,
tabah kar gai pakkay makaan ki khwahish,
main apne gaao'n k kachay makaan se bhi gaya,
bhulaana chaha, to uski bhi inteha kar dee,
wo shakhs ab mere wehm-o gumaan se bhi gaya,
kisi k haath ka nikla hua wo teer hon main,
hadaf ko choo na saka, or kamaan se bhi gaya

Life is labor, death is rest.

Thanks

Best Regards,

Dr. Mohammad Kashif Mahmood.

MD / FP

Al-Mustafa Medicare

E-mail address: dr.mkm12@gmail.com

Mobile # +0092-308-7640486

 

No comments:

Post a Comment